dil wo pyasa hai ki dariya ka tamasha dekhe aur phir lahr na dekhe kaf-e-dariya dekhe main har ek haal mein tha gardish-e-dauran ka amin jis ne duniya nahin dekhi mera chehra dekhe ab bhi aati hai teri yaad pa is karb ke sath tutti nind mein jaise koi sapna dekhe rang ki aanch mein jalta hua khushbu ka badan aankh us phul ki taswir mein kya kya dekhe koi choti nahin ab to mere qad se aage ye zamana to abhi aur bhi uncha dekhe phir wahi dhund mein lipta hua paikar hoga kaun be-kar mein uthta hua parda dekhe ek ehsas-e-nadamt se laraz uthta hun jab ram-e-mauj meri wusat-e-sahra dekhe