dil wo shai hai ki jo dekhe to khiche yar ke sath ye dukan wo hai ki chalti hai kharidar ke sath ek dam-bhar ke liye hum na lagaya tha gale umr hi kat gai qatil teri talwar ke sath tana-e-zulm-o-sitam laila-o-shirin pe abas kya kiya aap ne ishq-e-dil-e-afgar ke sath tegh chal nikli dam-e-qatl gale par mere main ne tashbih jo di abru-e-khamdar ke sath hashr aghyar ka shaddad ke hoga hamrah jhut kahta hun to bas hashr ho aghyar ke sath na daren khuld mein jate hue jo rizwan se us ke darwaze pe ruk jaen khabar-dar ke sath so gae bakht shab-e-wada ye mujh se kah kar kaun jaga hai tere dida-e-bedar ke sath is qadar charb-zabani nahin achchhi ai shama bazm-e-jaanan mein zaban katti hai guftar ke sath hashr mein zalim-o-mazlum juda honge daregh hae wan bhi na rahe us but-e-ayyar ke sath hae afsos hai 'salik' ki jawan-margi ka ishq ki baat gai us jigar-afgar ke sath