girah lab pe jo muddaa ho gaya wo dil mein mere aabla ho gaya samajhte hain wo farz is ki shikast mera dil bhi ahd-e-wafa ho gaya kahun kya na dekhen jo meri taraf taghaful sharik-e-haya ho gaya wo karte hain sun kar sitam aur bhi mera nala shukr-e-jafa ho gaya qayamat hui us ki raftar se ye hangama hangama-za ho gaya bad-o-nek ka un pe kya e'tiraaz jo chaha kiya jo kiya ho gaya shab-e-wasl hone ki hai ye dalil shab-e-hijr se din siwa ho gaya asar sab khicha us ki guftar mein mera nala bhi na-rasa ho gaya wo surat hai dilkash ki is zulm par zamana tera mubtala ho gaya mila de jigar ko bhi dil mein khuda ki ab shauq had se siwa ho gaya gham-o-ranj-o-hirman-o-andoh ko mera sina mulk-e-baqa ho gaya mohabbat mein ilzam kya dil ko dun ye gumrah tha mujh ko kya ho gaya hujum-e-bala-ha-e-hijran na puchh tujhe kya jo kuchh ho gaya ho gaya anal-ishq kahna na aaya magar ki mansur anal-haq-sara ho gaya ye taqwa jawani mein 'salik' magar bure waqt mein parsa ho gaya