dil yahi soch ke betab hua jata hai dar-ba-dar mera har ek khwab hua jata hai raat-din dard ke aaghosh mein jalti sansen ab lahu jism ka tezab hua jata hai bahte rahte hain in aankhon se musalsal aansu shahr-e-dil wadi-e-be-ab hua jata hai jab bhi padti hai khuli dhup zamin par us ki us ka chehra koi mahtab hua jata hai teri yaadon ki mahak aur ye halki rim-jhim aaj bistar bhi to kam-khwab hua jata hai jaane kya baat hai jo aap ki qurbat pa kar aam insan bhi nayab hua jata hai bazm mein aap ke aane ki khabar sun sun kar dil mera khitta-e-shadab hua jata hai kya karun ab main zamane se mohabbat kar ke ye samundar bhi to payab hua jata hai kya kahun aae dinon ganw mera fashion mein kabhi dilli kabhi punjab hua jata hai