dub kar aa raha hun bhitar se ek moti mila samundar se chain ki sans le sakunga ab dushmani ho gai muqaddar se ek aansu ka bojh bhaari hai bund se dariya se samundar se be-sabab khub muskuraata hai tu bhi tuta hua hai andar se dekhne mein sitare lagte ho aap dharti se hain ya ambar se haq adai mein hain lage donon dard andar se zakhm bahar se aaine to yahan salamat hain phul zakhmi hue hain patthar se