dil ye kahta hai ki ek aalam-e-muztar dekhun barish-e-sang mein logon ko khule sar dekhun phir wo musi ka asa nil ka shaq ho jaana fauj firaun ka main dubta manzar dekhun aaine tod ke daudun main kisi jangal ko apni surat ko kisi jhil ke andar dekhun mera sab le lo mujhe ek mohabbat de do shahr mein aisi bhi aawaz laga kar dekhun jaanta hun ki chhupa hai wo kahin sine mein kash is dard ki surat ko main bahar dekhun us ne ek roz mohabbat se bulaya tha mujhe main to har roz use apne barabar dekhun dur tak ek hi manzar hai makanon ka 'zahir' kis taraf jaun main kis or mera ghar dekhun