ek hijrat ki aawazon ka koi bain sune darwazon ka zakariyya pedon ki mat sun ye jangal hai khamyazon ka tere sar mein soz nahin pyare tu ahl nahin mere sazon ka auron ko salahen deta hai koi dasa hua andazon ka mera nakhra karna banta hai main ghazi hun tere ghazon ka ek redhi wala munkir hai teri topon aur jahazon ka