dil zulf-e-butan mein hai giraftar hamara is dam se hai chhutna dushwar hamara bazar-e-jahan mein hain ajab jins-e-zabun hum koi nahin ai wae kharidar hamara thi dawar-e-mahshar se tawaqqo so tujhe dekh wo bhi na hua hae taraf-dar hamara kyunkar na dam-e-sard bharen hum ki har ek se milta hai bahut garm kuchh ab yar hamara tujh bin use ye samjhen ki hai shola-e-dozakh gar ho gul-e-jannat gul-e-dastar hamara 'rasikh' ye pas-e-marg bhi hamrah rahega hai yar ka gham yar-e-wafadar hamara