husn ko wusaten jo din ishq ko hausla diya jo na mile na mit sake wo mujhe muddaa diya hath mein le ke jam-e-mai aaj wo muskura diya aql ko sard kar diya ruh ko jagmaga diya dil pe liya hai dagh-e-ishq kho ke bahaar-e-zindagi ek gul-e-tar ke waste main ne chaman luta diya lazzat-e-dard-e-khastagi daulat-e-daman-tahi tod ke sare hausle ab mujhe ye sila diya kuchh to kaho ye kya hua tum bhi the sath sath kya gham mein ye kyun surur tha dard ne kyun maza diya ab na ye meri zat hai ab na ye kaenat hai main ne nawa-e-ishq ko saz se yun mila diya aks jamal-e-yar ka aaina-e-khudi mein hai ye gham-e-hijr kya diya mujh se mujhe chhupa diya hashr mein aaftab-e-hashr aur wo shor-e-al-aman 'asghar'-e-but-parast ne zulf ka wasta diya