dilbar kaha rafiq kaha chaaragar kaha jo kuchh bhi tum ko hum ne kaha soch kar kaha wo tum ki hum ko aaj bhi mukhlis na kah sake aur hum ne sari umr tumhein mo'atabar kaha ye raunaqen jahan ki mansub tum se kin phir un tajalliyon ko harim-e-nazar kaha pursish teri fareb tasalli teri fareb wo dil ki baat thi jise duniya ka dar kaha tere nuqush-e-pa ko bataya hai kahkashan teri gali ke zarron ko shams-o-qamar kaha sab mutmain the dekh ke aazadiyan meri mere zamir ne mujhe be-baal-o-par kaha un par to koi harf na aane diya 'ziya' jo guzri us ko gardish-e-sham-o-sahar kaha