tere chand jaise rukh par ye nishan-e-dard kyun hain tere surkh aarizon ke ye gulab zard kyun hain tujhe kya hua hai aakhir mujhe kam se kam bata to teri sans tez kyun hai tere hath sard kyun hain tujhe na-pasand jo the wahi be-wiqar rahte jo aziz the tujhe wo tere dar ki gard kyun hain wo kitab lao jis mein hai bayan shan-e-qaumi mere daur ki ye qaumen ba-giraft-e-fard kyun hain mujhe shak guzar raha hai teri chaara-saziyon par ai masih-e-waqt batla ye dilon mein dard kyun hain jinhen yaad the fasane bahut apne bazuon ke ai 'alim' muzmahil se wo dam-e-nabard kyun hain