dilbar ki tamanna-e-bar-o-dosh mein mar jae kya yunhi koi hasrat-e-aghosh mein mar jae qabr us ki pe lazim hai khum-e-mai ka chadhana jo mast ki ishq-e-but-e-mai-nosh mein mar jae hai tarfa aziyyat koi kis tarah khudaya yaad-e-sanam-e-wada-faramosh mein mar jae sargoshi ki rukhsat na kabhi ghair ko dena gar wo hawas-e-zulf o bana-gosh mein mar jae gar ghuncha-e-mahjub teri waza ko dekhe andaz-e-haya-e-lab-e-khamosh mein mar jae allah-re burqa tera aur us ke ye rauzan dekhe jo chhupa yun tujhe ru-posh mein mar jae kya faeda phulon ki chhadi us pe lagana ai gul jo teri ek hi pa-posh mein mar jae ya-rab na wo din us ke tu aashiq ko dikhana mashuq ke aate hi jo aaghosh mein mar jae aata hai mujhe 'mushafi' dil apne pe rona afsos hai yun ghash se wo aa hosh mein mar jae