wo log bhi hain jo maujon se dar gae honge magar jo dub gae par utar gae honge lagi ye fikr nai dil ko aa ke manzil par kahan bhatak ke mere ham-safar gae honge palat ke aankh mein wo mauj-e-khun nahin aai chadhe hue the jo dariya utar gae honge chale to ek hi raste pe hum magar na mile mile bhi honge to bach kar guzar gae honge jo maut se na dare wo bhi tere sath nahin ki zindagi ke sawalon se dar gae honge jahan ye bagh hai pahle yahan bayaban tha zarur idhar se tere khush-nazar gae honge jo shah-rahon pe dekhe hain log patthar ke talab mein jine ki ye su-e-zar gae honge hamari kisht-e-dil-o-jaan se us ki mizhgan tak ye silsile tere ai chashm-e-tar gae honge jo mil gaya hai to ab mujhe se haal-e-hijr na puchh kisi tarah se wo din bhi guzar gae honge 'salim' zist to mushkil thi be-dayaron ki watan se dur kahin ja ke mar gae honge