dilbari us ruKH-e-dil-ruba ki Khaal-o-KHad se ibarat nahin hai

dilbari us rukh-e-dil-ruba ki khal-o-khad se ibarat nahin hai
mahw-e-nazzara-e-khal-o-khad ko ye samajhne ki mohlat nahin hai

dil se hoti to hai rah dil ko fasla hai magar rah khud bhi
ek ho jaen hum aap mil kar ishq ki aisi qismat nahin hai

jis ko apni nazar jaanta hun us ke jalwon ka hai ek karishma
wo nazar hi nahin jis ki hasti us ki marhun-e-minnat nahin hai

ye balaen jo pesh-e-nazar hain ye to be-shak fareb-e-nazar hain
lekin un se jo tari hai dil par kya ye dar bhi haqiqat nahin hai

gham hai jis ahd-e-mazi ka sab ko uth ke aa jaen dhanche jo us ke
badh ke un ko gale se laga le ye kisi mein bhi himmat nahin hai

shama par jaan dena patango tum ne sikha hai kis madrase mein
shama par jaan dena patango zindagi ki zarurat nahin hai

main 'muhib' ek shoala tha yani hote rahne ka ek mashghala tha
hote hote wo shai ho gaya hun jis mein hone ki taqat nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close