ye kah ke raKHne Daliye un ke hijab mein

ye kah ke rakhne daliye un ke hijab mein
achchhe bure ka haal khule kya naqab mein

khurshid-zar howe zamin de jhatak zara
sau aaftab hain tere gard-e-naqab mein

be-etidalyan meri zarf-e-tunak se hain
tha naqs kuchh na jauhar-e-sahba-e-nab mein

uthne mein subh ke ye kahan sar-giraniyan
zahid ne mai ka jalwa ye dekha hai khwab mein

tahqiq ho to jaanun ki main kya hun qais kya
likkha hua hai yun to sabhi kuchh kitab mein

main aur zauq-e-baada-kashi le gain mujhe
ye kam-nigahiyan teri bazm-e-sharab mein

imdad-e-chashm kya ho lagi dil ko aag jab
jalne ke baad khun nahin rahta kabab mein

hain donon misl-e-shisha ye saman-e-sad-shikast
jaisa hai mere dil mein nahin hai habab mein

anwar-e-fikr se na hua kuchh bhi inkishaf
jitna badhe hum aur badhi ja hijab mein

ye umr aur ishq hai 'azurda' ja-e-sharm
hazrat ye baaten phabti hain ahd-e-shabab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close