dilon ke rang ajab rabta hai kitni der wo aashna hai magar aashna hai kitni der nai hawa hai karen mishal-e-hawas raushan ki sham-e-dard charagh-e-wafa hai kitni der ab aarzu ko teri be-sada bhi hona hai tere faqir ke lab par dua hai kitni der ab us ko sochte hain aur hanste jate hain ki tere gham se talluq raha hai kitni der hai khushk chashma-e-sahra mariz wadi o koh nigar-khana-e-ab-o-hawa hai kitni der thithurte phul pe taswir-e-rang-o-bu kab tak jhulasti shakh pe barg-e-hina hai kitni der