husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai jo khuda ko bhi hai pyara wo jamal achchha hai bazm-e-kaunain murattab hui teri khatir waqt hai tere liye is mein jo mal achchha hai mujh se puchhe to koi tere ghulamon ka uruj baadshahon se bhi rutbe mein bilal achchha hai gham uthane ki hai aadat meri tab-e-sani main to kahta hun ki duniya mein malal achchha hai qissa-e-tur se waqif hai zamana sara koi kis munh se kahe shauq-e-jamal achchha hai bazm mein dekh ke hasrat se kisi ko chup hun dar-haqiqat yahi andaz-e-sawal achchha hai jis mein ek din bhi mayassar ho mulaqat ki raat mere nazdik to wo mah wo sal achchha hai lutf deta hai mujhe tera tasawwur shab-e-gham sach kaha karte hain achchhon ka khayal achchha hai jab se dekhe hain tumhaare lab-o-abru hum ne na kaha hai na kahenge ki hilal achchha hai tujh se hat kar kahin padti hi nahin meri nazar yun to yusuf ka bhi hone ko jamal achchha hai aashiqon ke liye kis kaam ka hai sabr-o-qarar jo tere gham mein rahe muztarib haal achchha hai us ne dekha hi nahin qamat-e-zeba tera jo ye kahta ho ki gulshan mein nihaal achchha hai phir wahi zikr hai arbab-e-karam ka 'rasikh' hum samajhte hain ye andaz-e-sawal achchha hai