dilon ko ranj ye kaisa hai ye khushi kya hai ye zulmaton se ujalon ki hamdami kya hai hawaen shahar se roti hui guzarti hain dilon mein khauf ki ye ek lahr si kya hai udasiyon ki ye parchhaiyan si dur talak mah-o-nujum ki aankhon mein ye nami kya hai ye khilkhilate dar-o-baam mein ghutan kaisi ye jagmagate makanon mein tirgi kya hai bhare jahan mein ban-bas ki ye kaifiyyat har ek samt na jaane ye gunj si kya hai tere khayal mein katti hai umr phir bhi hum ye sochte hain ki apni bhi zindagi kya hai tamazaton mein bas ek khushk ped ki chhanw hai jis pe naz bahut wo bhi aagahi kya hai ye ashk ashk se khwabon mein raunaqen kaisi ye dagh dagh tamanna mein tazgi kya hai mile hain dukh to hamein roz hi tere dar se magar ye aaj dukhon mein nai khushi kya hai