daman-e-gul mein kahin khar chhupa dekhte hain aap achchha nahin karte ki bura dekhte hain hum se wo puchh rahe hain ki kahan hai aur hum jis taraf aankh uthate hain khuda dekhte hain kuchh nahin hai ki jo hai wo bhi nahin hai maujud hum jo yun mahw-e-tamasha hain to kya dekhte hain log kahte hain ki wo shakhs hai khushbu jaisa sath shayad use le aae hawa dekhte hain zawiya dhup ne kuchh aisa banaya hai ki hum sae ko jism ki jumbish se juda dekhte hain is qadar tazgi rakhi hai nazar mein hamne koi manzar ho purana to naya dekhte hain ab kahin shahr mein 'asim' hai na 'ghaalib' koi kis ke ghar jae ye sailab-e-bala dekhte hain