dilon mein habs ka aalam purani aadaton se hai

dilon mein habs ka aalam purani aadaton se hai
labon par talkhiyon ka zahar bigde zaiqon se hai

jo ujda shahar khwabon ka to apni bhi udi hai gard
kisi sukhe hue dariya ki surat muddaton se hai

ye kali raat ka dariya baha kar le gaya suraj
hirasan subh ke sahil pe dil tarikiyon se hai

mahakte phul bhi dasne lage hain sanp ki surat
faza baghon ke andar bhi dilon ke mausamon se hai

unhin lamhon ki aahat se milin bedariyan mujh ko
mere dariya ki jaulani samay ke paniyon se hai

wo aanch aane lagi khud se ki dil darne laga apna
jahannum ruh ka bhadka hua khamoshiyon se hai

khulin aankhen to sil nur mein duba hua paya
mere suraj ki tabani nazar ke shobadon se hai

'nadim' is rah mein sadiyon ki diwaren bhi hail hain
nai duniya abhi tak ot mein in zulmaton se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close