dilon mein jab guman honge makin aahista aahista

dilon mein jab guman honge makin aahista aahista
to dhundla jaega nur-e-yaqin aahista aahista

dil-e-nadan abhi khugar nahin ye gham uthane ka
uthegi tere dar se ye jabin aahista aahista

nazar manzil pe ho to ikhtilaf-e-rah ka gham kya
pahunchti hain sabhi rahen wahin aahista aahista

kashish meri wafaon ki kahan tak raegan jati
jhuki meri taraf lauh-e-jabin aahista aahista

mere ahbab ne us ko kiya mujh se juda jun jun
wo aata hi gaya mere qarin aahista aahista

lahu tapka hai rafta-rafta mizhgan-e-mughanni se
hua hai khush dil-e-andoh-gin aahista aahista

mere anfas ki har zarb thi kari se kari-tar
karam farma hua arsh-e-barin aahista aahista

hua tari jumud aafaq ke rangin ishaaron par
hui gardish se be-bahra zamin aahista aahista

madad ai jazba-e-ashk-e-musalsal sans lene de
sukha lene de bhigi aastin aahista aahista

khudara bas isi andaz se inkar karta ja
bani jati hai han teri nahin aahista aahista

main apne hont si dalungi lekin ye na dekhungi
pasheman ho nigah-e-sharmagin aahista aahista

bahut aasan na samjho sang-dil dil mom ho jaana
utarti hai nigah-e-awwalin aahista aahista

koi jazba hai shayad tujh mein 'hani' na-tamam ab bhi
suni hai dil mein aahat si kahin aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close