dilon mein jalwa-fagan yaad-e-raftagan hai abhi

dilon mein jalwa-fagan yaad-e-raftagan hai abhi
charagh bujh gae sare magar dhuan hai abhi

khayal-e-yar mein puchho na dil kahan hai abhi
khayal tak nahin pahunche jahan wahan hai abhi

jala ke khak kiya barq ne haqiqat hai
magar chaman mein meri khak-e-ashiyan hai abhi

khushi ki baat na kar ishraton ka zikr na chhed
gham-e-hayat meri zeb-e-dastan hai abhi

kaho to khuld bana dun main apne daman par
ki fart-e-gham se rawan chashm-e-khun-fishan hai abhi

ruki ruki hui chalti hai meri nabz-e-hayat
kahan hai rashk-e-masiha ki tan mein jaan hai abhi

kharid le kisi yusuf ko mere dil ko na dekh
ye jins husn ke bazar mein garan hai abhi

chaman se hath utha lun main kyon chaman walo
ki shakh shakh pe mera hi aashiyan hai abhi

kahan hai manzil-e-hasti kise khabar 'ahsan'
ye jaante hain faqat karwan rawan hai abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close