dilon mein jazba-e-nafrat hai kya kiya jae zaban pe dawa-e-ulfat hai kya kiya jae hazar qism ke ilzam sun ke bhi chup hain hamara jurm sharafat hai kya kiya jae na dushmanon se adawat na doston ka lihaz isi ka nam sadaqat hai kya kiya jae hamare sine mein patthar nahin hai ai logo hamein bhi pas-e-mohabbat hai kya kiya jae dukan-e-ilm-o-hunar kyon saja na le koi ye raaz-e-izzat-o-shohrat hai kya kiya jae ye ek khalish ye tajassus ye hasraton ka hujum isi se zist ibarat hai kya kiya jae badal ke dekhe bhi uslub tishnagi na gai dil-o-nazar ki hikayat hai kya kiya jae main khud khulus se apne bahut pareshan hun ab is ki kis ko zarurat hai kya kiya jae zamana-sazi ko duniya hunar kahe lekin jab is khayal se nafrat hai kya kiya jae