kabhi sahar se kabhi tirgi se shikwa hai kabhi khuda se kabhi aadmi se shikwa hai khud apni zat se jo aashna nahin us ko bas ek apne siwa har kisi se shikwa hai majazi ishq kisi ko sukun nahin deta jise bhi dekho use dil-lagi se shikwa hai wafa is ahd-e-jafa mein hai ek fareb-e-nazar bisat-e-waqt ki jadugari se shikwa hai kare jo khul ke adawat nahin hai us se gila munafiqat se bhari dosti se shikwa hai sukun-e-dil to mila hai nashat-e-zist nahin qalandaron ka yahi aagahi se shikwa hai koi amal nahin aisa khuda ko pesh karun 'saba' mujhe meri is bandagi se shikwa hai