dilon par khauf bhi tari bahut hai magar jangon ki tayyari bahut hai khirad ki bastiyon ke phunkne ko junun ki ek chingari bahut hai sabhi zad mein hain dasht-o-koh-o-insan ye zarb-e-waqt hai kari bahut hai purana khushk patta kah raha tha hawa mein tez-raftari bahut hai hum apne dil ki duniya dekhte hain hamein ye shaghl-e-bekari bahut hai chale ho us se milne par ye sun lo use shauq-e-dil-azari bahut hai nahin hai sath rahna garche aasan bichhadne mein bhi dushwari bahut hai