ashk aa aa ke meri aankhon mein tham jate hain jab wo kahte hain abhi to nahin hum jate hain sikka apna nahin jamta hai tumhaare dil par naqsh aghyar ke kis taur se jam jate hain koi dam ka hi damama hai nahin dam hamdam pas-e-anfas nahin dam mein ye dam jate hain marg-e-ushshaq nahin zinda-e-jawed hue yar se hone ham-aghaosh-o-baham jate hain us jafa-kesh ko hai aaj talash-e-ushshaq shauq-e-didar mein mushtaq-e-sitam jate hain hind ke khak-basar 'saqi' hain ahl-e-baatin kaba-e-dil mein pae-tauf-e-haram jate hain