dilon pe yun bhi ajab ikhtiyar dekha hai jo pur-sukun the unhen be-qarar dekha hai hila sake na qadam jin ke baada-o-saghar unhi pe zulf-o-nazar ka khumar dekha hai hai imtizaj ajab rang-o-husn ka us mein ki jis ne dekha use bar-bar dekha hai khula hai raaz pas-e-marg zat ka apni faza mein udta hua jab ghubar dekha hai jo aa sake na kabhi qaid-e-zat mein apni unhi pe tera sabhi ikhtiyar dekha hai junun ne kar bhi liya par dard ka sahra abhi khirad ko sar-e-rahguzar dekha hai bas iztirab-o-khalish dard-o-ah aur aansu har ek dil mein wafa ka mazar dekha hai to kya lubhaegi dil ko shaguftagi-e-gul ki jab nazar ne badan ki bahaar dekha hai tha jin ko naz bahut apni khush-libasi par rah-e-junun mein unhen tar-tar dekha hai