kah dale ghazlon nazmon mein afsane kya kya dil mein phir bhi dhadakta rahta hai jaane kya kya dagh ko chand aansu ko moti zakhm ko phul kahen hum ko bhi andaz sikhae duniya ne kya kya chand aise chehron wale hain chand itne hi dur jin ke sapne dekhte hain hum diwane kya kya sukhe lab phike rukhsar aur uljhe uljhe baal shahron mein bhi mil jate hain virane kya kya