dilon se khauf ke aaseb-o-jin nikalta hai wahi charagh jalata hai din nikalta hai ajib tesha hai mazdur ka pasina bhi pahad kat ke rasta kathin nikalta hai ye baadshah nahin hai faqir hai suraj hamesha raat ki jholi se din nikalta hai zara si der mein koi gulab todega jo apne coat ke collar se pin nikalta hai usi ke nam se mansub hai ghazal apni jo nam phul khilata hai din nikalta hai