har ek lafz mein sine ka nur dhaal ke rakh kabhi-kabhaar to kaghaz pe dil nikal ke rakh jo doston ki mohabbat se ji nahin bharta to aastin mein do-chaar sanp pal ke rakh tujhe to kitni bahaaren salam bhejengi abhi ye phul sa chehra zara sambhaal ke rakh yahan se dhup ke neze buland hote hain tamam chhanw ke qisson pe khak dal ke rakh mahak rahe hain kai aasman mitti mein qadam zamin-e-mohabbat pe dekh-bhaal ke rakh dil-o-dimagh thikane pe aane wale hain ab us ka zikr kisi aur din pe tal ke rakh