dilon se yas-o-alam ke naqab utaro to sahar bhi rup dikhaegi shab guzaro to faza ke sine mein naghmon ke lai utaro to usi ada se zara phir mujhe pukaro to mere ghamon ke dhundalke bhi chhat hi jaenge tum apne gesu-e-shab-rang ko sanwaro to kahan gae mujhe tarikiyon mein uljha kar hayat-e-rafta ke lamho zara pukaro to khizan-rasida fazaon ko rooge kab tak bahaar gosh-bar-awaz hai pukaro to phir is ke baad sahar hi sahar hai ai 'arshad' rukh-e-hayat ke tewar zara nikhaaro to