rafta rafta aasman utra zamin ke us taraf main ne boya tha kabhi sabza zamin ke us taraf is zamin par pyas ki shiddat hui thi kab ayan kis ne socha tha nihan dariya zamin ke us taraf aasman ke rang sare hairaton ke aks hain wo hai ek chehra pas-e-parda zamin ke us taraf mere hone ka guman is bhid mein hai mubtala aur main tanha bahut tanha zamin ke us taraf ek tara tutne ki chah mein bechain hai muntazir hoga koi bachcha zamin ke us taraf