dimagh-o-dida-o-dil bar-sar-e-paikar hote hain

dimagh-o-dida-o-dil bar-sar-e-paikar hote hain
mohabbat ki kahani mein kai kirdar hote hain

ye duniya bagh-e-zeba hai magar chashm-e-tamasha mein
sar-e-shakh-e-tamanna phul bhi do-chaar hote hain

kisi se ishq ho jaane ko afsana nahin kahte
ki afsane mata-e-kucha-o-bazar hote hain

khayalon mein kahin naghma kahin ghuncha kahin sahba
dam-e-nazzara ye nazuk badan talwar hote hain

kisi pur-pech rasm-e-dosti ka ma-hasal ye hai
ghanere jangalon ke raste hamwar hote hain

safai se kaho jo kuchh kaho kyun zakhm dhote ho
masiha kah ke hum qatil ke jaanib-dar hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close