dimagh-o-dil ki thakan wala

dimagh-o-dil ki thakan wala
kada safar hai guman wala

yaqin karne chale to ho par
ye rasta hai dhalan wala

lagi hai aag apne dasht-e-dil mein
dara hua hai machan wala

hain samne wo sawal aankhen
mujhe hai dar imtihan wala

zamin banate hue yaqinan
nashe mein tha aasman wala

supurdagi aur itni jaldi
maza to ho khinch-tan wala

adab ki khidmat ka sochta hun
batao koi dukan wala

sabhi hue na-umid mujh se
ye waqt hai itminan wala

main ek to sardar wo bhi shair
phir us pe urdu zaban wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close