jahan-e-am ko yaksar fareb deta hai

jahan-e-am ko yaksar fareb deta hai
wo gham-zada ho to hans kar fareb deta hai

kuchh us ki tarz-e-ada bhi kamal hai kuchh wo
nazar nazar se mila kar fareb deta hai

main aise mahir-e-fan ka murid hun jo mujhe
mere guman se badh kar fareb deta hai

mita gai hai mujhe ek nigah-e-naz to kya
bade-badon ko ye manzar fareb deta hai

hum ahl-e-dil bhi isi par yaqin karte hain
hamein ye dil jo ki aksar fareb deta hai

main is liye bhi tera ehtiram karta hun
tu mujh ko mujh se bhi behtar fareb deta hai

'amar' ye us ka karam hai ki wo ek ahl-e-kamal
agarche de bhi to kah kar fareb deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close