din-ba-din ghatti hui umr pe nazil ho jae ek badan aur meri ruh ko hasil ho jae morche kholta rahta hun samundar ke khilaf jis ko mitna hai wo aae mera sahil ho jae khel hi khel mein chhu lun main kinara apna aise soun ki jagana mujhe mushkil ho jae lag ke bimar ke sine se na rona aise zindagani ki tarah maut bhi mushkil ho jae rakh rahe hain tere patthar mere zakhmon ka hisab ab ye majma bhi mere kashf ka qael ho jae is qadar der na karna ki ye aaseb-nagar raat ka rup le aur jism mein dakhil ho jae jang apnon se hai to dil ko kinare kar lun raste mein yahi talwar na hael ho jae