diye jala ke hawaon ke munh pe mar aaya koi to hai jo andheron ka qarz utar aaya khuda se jab bhi kadi dhup ki shikayat ki to meri rah mein ek ped saya-dar aaya kahan hui kabhi us se hamari did-o-shunid hawa ke rath pe hamesha hi wo sawar aaya sukun bantti phirti hun main zamane mein na jaane kyun mere hisse mein intishaar aaya hazar bar mera dard muskuraega hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya sabab main dhund rahi thi meri udasi ka tera khayal mujhe aaj bar bar aaya kiya hai us ne hi ghaarat mera sukun magar usi ke nam pe 'rakhshan' mujhe qarar aaya