din-ba-din safha-e-hasti se mita jata hun ek jine ke liye kitna mara jata hun apne pairon pe khada bolta paikar hun magar aahaton ki tarah mahsus kiya jata hun tu bhi jaise meri aankhon mein khincha jata hai main bhi jaise teri sanson sama jata hun nur ki shakh se tuta hua patta hun main waqt ki dhup mein madum hua jata hun sath chhuta to kada waqt zarur aaega aap kahte hain to be-shak main chala jata hun hadse jitna mujhe dur kiye dete hain utna manzil se main nazdik hua jata hun dekhne mein to main zarra nazar aata hun 'salim' dekhte dekhte khurshid pe chha jata hun