gharq-e-gham hun teri KHushi ke liye

gharq-e-gham hun teri khushi ke liye
yahi sajda hai bandagi ke liye

har kisi ke liye gham-e-ishrat
ishrat-e-gham kisi kisi ke liye

naqsh manzil hai zarre zarre mein
rah-nawardan-e-agahi ke liye

jab se apna samajh liya sab ko
mil gae kaam zindagi ke liye

ab nigahon mein wo samae hain
ab nigahen nahin kisi ke liye

ye jahan gham-kada sahi lekin
ek tamasha hai ajnabi ke liye

itni khizr-agahi ke baad 'sahab'
dhundiye kis ko gum-rahi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close