din dhala jata hai sham aati hai ghabraata hun main dubta jata hai suraj dubta jata hun main ek thikana tha jahan bahla liya karta tha dil aaj us mahfil ko bhi zer-o-zabar pata hun main aa gai hai yaad aaj apne dil-e-marhum ki sari duniya sog mein dubi hui pata hun main meri guzri zindagi aawaz deti hai mujhe ai mughanni band kar naghma ki ghabraata hun main rafta rafta ishq is manzil mein laya hai mujhe dard uthta hai kisi ko aur tadap jata hun main tum wahi mahfil wahi mahfil ki ranai wahi in dinon kuchh apne hi ko dusra pata hun main ye safedi hai sahar ki ya tamanna ka kafan hae kya pana tha kya waqt-e-sahar pata hun main raushni deta hun sab ko ek bujhe dil se 'nazir' apni sard aahon se har mahfil ko garmata hun main