duniya mein jo samajhte the bar-e-giran mujhe wo hi suna rahe hain meri dastan mujhe mud mud ke dekhta tha tere naqsh-e-pa ko main tanha samajh ke chal diya jab karwan mujhe do gam mere sath chale rah-e-ishq mein milta nahin hai aisa koi raaz-dan mujhe khamoshiyon se rabta qaem jo kar liya duniya samajh rahi hai abhi be-zaban mujhe main ne 'rais' khidmat-e-sher-o-sukhan jo ki is waste aziz hai urdu zaban mujhe