din fursaton ke chandni ki raat bech kar

din fursaton ke chandni ki raat bech kar
hum kaamyab ho gae jazbaat bech kar

hum ne bhi pile kar diye hain betiyon ke hath
thodi bahut bachi thi jo auqat bech kar

marti hai dharti pyas se rundhne lage gale
kuchh log mala-mal hain barsat bech kar

socha hai ab kharid len kuchh chand par zamin
bhai ka hissa bap ke jazbaat bech kar

turra hai sar pe ya ki hai do-chaar man ka bojh
rutba mila hai chain ke din raat bech kar

phule nahin sama rahe mukhbir chaman mein aaj
gulshan ka raaz dushmanon ke hath bech kar

lagta hai ahl-e-duniya ko ab pana hai 'salil'
ohda khuda ka aadmi ki zat bech kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close