jahan tak ishq ki taufiq hai rangin banate hain wo sunte hain hum un ko sar-guzasht-e-dil sunate hain udhar haq-ul-yaqin hai ab wo aate ab wo aate hain udhar anjum meri is zehniyat par muskuraate hain shab-e-gham aur mahjuri ye aalam aur majburi tapak padte hain aansu jab wo hum ko yaad aate hain wahin se dars-e-husn-o-ishq ka aaghaz hota hai jahan se waqiat-e-zindagi hum bhul jate hain hamein kuchh ishq ke mafhum par hai tabsira karna ek aah-e-sard ko unwan-e-sharah-e-gham banate hain baha kar ashk-e-khun khinchi thin jo aaina-e-dil mein hum un mauhum taswiron ko ab rangin banate hain shabab-e-zindagi jalwon ka ek masum nazzara hamein ai dil wo afsane abhi tak yaad aate hain