din guzra aur sham dhali phir wahshat le kar aai raat jab bhi us ka hijr manaya hum ne wo kahlai raat us ko rone se pahle kuchh hum ne yun tayyari ki kone mein tanhai rakkhi kamre mein phailai raat tu ne kaise soch liya ki tere tohfe bhul gae dil ne tere gham ko pahna aankhon ko pahnai raat sawan aaya lekin sukhi ehsashon ki hariyali banjar dil mein aansu boe upar se barsai raat koi bhi mausam aaya ho hum par to barsat hui us ki yaadon ne jo ghera dopahron par chhai raat us pal jaise bol pada ho diwaron ka sannata us ki rahen takte takte jaise ho uktai raat kitne hi manzar shamil hain meri suni aankhon mein chup ke se aa ke karti hai palkon ki turpai raat chahat ki ye reshmi girhen aur palkon par nind ka bojh yaadon se jo bach nikle to khwabon ne uljhai raat