haq bana baatil bana naqis bana kaamil bana jo banana ho bana lekin kisi qabil bana shauq ke laeq bana arman ke qabil bana ahl-e-dil banne ki hasrat hai to dil ko dil bana uqda to be-shak khula lekin ba-sad-diqqat khula kaam to be-shak bana lekin ba-sad mushkil bana jab ubhaara hai to apne qurb ki had tak ubhaar jab banaya hai to apne lutf ke qabil bana sab jahanon se juda apna jahan takhliq kar sab makanon se juda apna makan-e-dil bana phir nae sar se junun-e-qais ki buniyaad rakh phir nai laila bana naqa bana mahmil bana ye to samjhe aaj 'azad' ek kaamil fard hai ye na samjhe ek naqis kis tarah kaamil bana