din ka malal sham ki wahshat kahan se laen zar-zadgan-e-shahr mohabbat kahan se laen sarf-e-shumar-e-daulat-e-duniya hue jo log wo na-murad dil ki imarat kahan se laen sara lahu to sarf-e-shumar-o-adu hua sham-e-firaq-e-yar ki ujrat kahan se laen wo jin ke dil ke sath na dhadka ho koi dil zinda bhi hain to us ki shahadat kahan se laen do harf apne dil ki gawahi ke waste kahna bhi chahte hon to jurat kahan se laen be-chehra log chehra dikhane ke shauq mein! aaine mang lae hain hairat kahan se laen apne hi naqsh-e-pa ke aqidat-guzar log kuchh aur dekhne ko basarat kahan se laen kuchh zargiran-e-shahr ne ahl-e-kamal ka chehra bana liya qad-o-qamat kahan se laen ujde nahin kabhi wo jo tute nahin kabhi wo log harf likhne ki quwwat kahan se laen jab dar hi band hon koi khushbu kahan se aae gar lafz likh bhi den to halawat kahan se laen