din ka phul abhi jaga tha dhup ka hath badha aata tha surkh chanaron ke jangal mein patthar ka ek shahr basa tha pile pathrile hathon mein nili jhil ka aaina tha thandi dhup ki chhatri tane ped ke pichhe ped khada tha dhup ke lal hare honton ne tere baalon ko chuma tha tere aks ki hairani se bahta chashma thahar gaya tha teri khamoshi ki shah pa kar main kitni baaten karta tha teri hilal si ungli pakde main koson paidal chalta tha aankhon mein teri shakl chhupae main sab se chhupta phirta tha bhuli nahin us raat ki dahshat charkh pe jab tara tuta tha raat gae sone se pahle tu ne mujh se kuchh puchha tha yun guzri wo raat bhi jaise sapne mein sapna dekha tha