sadaon ka na khala dekh kar dara mujh ko hai koi aur bhi sunne to de zara mujh ko qarib apne jo aaya to ladkhada sa gaya tu meri fikr na kar kuchh nahin hua mujh ko main barf bechne nikla bhi to himale mein aur us ke baad zamane se hai gila mujh ko ye kaise dard hain jo rah gae hain batne se ye kaisi gunj hai kuchh bhi nahin mila mujh ko main dekh kar tujhe ek samt ho sa jata hun ye milte milte pare kaise kar diya mujh ko na tu bulae mujhe aur na main bulaun tujhe ye kya hua hai tujhe aur kya hua mujh ko khala mein raste girte hon aabshaar ki misl wo dhup ho nazar aae na rasta mujh ko ye mauj mauj si aawaz kashtiyon ki si chup qadam bana hun andheron ka ab badha mujh ko main chup ki khai ka hota ek aur patthar aaj meri sada hi ne kas kar jakad liya mujh ko main khud ko dhaal ke teri sada mein chahta hun ki tu bhi ab kabhi meri tarah bula mujh ko main kya wo khauf hun jo sab ke dil mein baitha hai nahin to but se bane dekhte ho kya mujh ko main ek sham tere sath rah ke lut sa gaya ki zindagi mein ye lahja nahin mila mujh ko phir aaj ghar mujhe le aai jun ka tun ek baat ki jaise koi khada dekhta raha mujh ko udhar kinare pe bhi 'talkh' mein hi tha kal sham bas apne khauf ne milne nahin diya mujh ko