din ko din raat ko main raat na likhne paun un ki koshish hai ki haalat na likhne paun hindu ko hindu musalman ko likkhun muslim kabhi in donon ko ek sath na likhne paun bas qalam-band kiye jaun main un ki har baat dil se jo uthti hai wo baat na likhne paun soch to leta hun kya likhna hai par likhte samay kanpte kyun hai mere hath na likhne paun jit par un ki laga dun main qasidon ki jhadi mat ko un ki magar mat na likhne paun shukr hi shukr likhe jaun main un ke haq mein kabhi un se main shikayat na likhne paun apne honton pe na la paun main apne nale apni hi aankhon ki barsat na likhne paun jin sawalon se tabassum mein khalal padta ho kabhi wo talkh sawalat na likhne paun khud ko mazi mein rakhun haal mein rahte hue bhi nae waqton ke khayalat na likhne paun un ki koshish hai kaleja ho mera patthar ka un ki koshish hai main jazbaat na likhne paun