raushni ka sath mahnga pad gaya hai jaane kis wahshat mein saya pad gaya hai aap ki jadugari ke waste hi khud ko hairat mein dikhana pad gaya hai phir mujhe darpesh hain khushiyan tumhaari phir se gham apna chhupana pad gaya hai hum kahan un ko bithaen soch mein hain ghar hamara kitna chhota pad gaya hai dasht ki azmat bhi ab khatre mein aai mere pichhe ghar ka rasta pad gaya hai khinch lata hai mujhe dar tak tumhaare mere pichhe koi bachcha pad gaya hai main laga hun dhundhne mein ruh ko aur jism bechaara akela pad gaya hai